dhup ke sath gaya sath nibhane wala
ab kahan aaega wo lauT ke aane wala
ret par chhoD gaya naqsh hazaron apne
kisi pagal ki tarah naqsh miTane wala
sabz shaKHen kabhi aise to nahin chiKHti hain
kaun aaya hai parindon ko Darane wala
aariz-e-sham ki surKHi ne kiya fash use
parda-e-abr mein tha aag lagane wala
safar-e-shab ka taqaza hai mere sath raho
dasht pur-haul hai tufan hai aane wala
mujh ko dar-parda sunata raha qissa apna
agle waqton ki hikayat sunane wala
shabnami ghas ghane phul larazti kirnen
kaun aaya hai KHazanon ko luTane wala
ab to aaram karen sochti aankhen meri
raat ka aaKHiri tara bhi hai jaane wala
Ghazal
Dhup ke sath gaya sath nibhane wala
Wazir Agha