dhup ke jate hi mar jaunga main
ek saya hun bikhar jaunga main
e'tibar-e-dosti ka rang hun
be-yaqini mein utar jaunga main
din ka sara zahr pi kar, aaj phir
raat ke bistar pe mar jaunga main
phir kabhi tum se milunga rasto!
lauT kar filhaal ghar jaunga main
us se milne ki talab mein aaunga
aur bas, yun hi guzar jaunga main
main ki ilzam-e-mohabbat hun 'nabil'
kya KHabar kis kis ke sar jaunga main
Ghazal
Dhup ke jate hi mar jaunga main
Aziz Nabeel