dhup ke bhitar chhup kar nikli
tariki sayon bhar nikli
raat giri thi ek gaDhDhe mein
sham ka hath pakaD kar nikli
roya us se mil kar roya
chahat bhes badal kar nikli
phul to phulon sa hona tha
titli kaisi patthar nikli
sut hain ghar ke har kone mein
makDi puri bun kar nikli
taza-dam hone ko udasi
le kar gham ka shower nikli
jaan nikli us ke pahlu mein
wo hi mera maghar nikli
hijr ki shab se ghabraate the
yar yahi shab behtar nikli
jab bhi chor mere ghar aae
ek hansi hi zewar nikli
'atish' kundan ruh mili hai
umr ki aag mein jal kar nikli
Ghazal
Dhup ke bhitar chhup kar nikli
Swapnil Tiwari