dhup jab tak sar pe thi zer-e-qadam pae gae
Dubte suraj mein kitni dur tak sae gae
aaj bhi harf-e-tasalli hai shikast-e-dil pe tanz
kitne jumle hain jo har mauqa pe dohrae gae
is zamin-e-saKHt ka ab khodna bekar hai
dafan the jo is KHarabe mein wo sarmae gae
dushmanon ki tang-zarfi napne ke waste
hum shikaston par shikasten umr bhar khae gae
ab darinda khojiyon ki dastaras mein aa gaya
nahr ke sahil pe panjon ke nishan pae gae
aaj se main apne har iqdam mein aazad hun
jhankte the jo mere ghar mein wo ham-sae gae
in gali-kuchon mein bahnon ka muhafiz kaun hai
kasb-e-zar ki dauD mein basti se man-jae gae
Ghazal
Dhup jab tak sar pe thi zer-e-qadam pae gae
Talib Johari