اردو हिंदी
Dhup jab Dhal gai to saya nahin | Shaahi Shayari
dhup jab Dhal gai to saya nahin

Ghazal

Dhup jab Dhal gai to saya nahin

Aftab Hussain

;

dhup jab Dhal gai to saya nahin
ye talluq to koi rishta nahin

log kis kis tarah se zinda hain
hamein marne ka bhi saliqa nahin

sochiye to hazar pahlu hain
dekhiye baat itni sada nahin

KHwab bhi is taraf nahin aate
is makan mein koi daricha nahin

chalo mar kar kahin Thikane lagen
hum ki jin ka koi Thikana nahin

manzilen bhi nahin muqaddar mein
aur palaTna hamein gawara nahin

dusron se bhi rabt-zabt rakhen
zindagi hai koi jazira nahin

kab bhaTak jae 'aftab' husain
aadmi ka koi bharosa nahin