dhup ho gae sae jal gae shajar jaise
jam gai fazaon mein ab ke dopahar jaise
zist ke KHarabe mein ek siyah ghar dil ka
aur dil mein yaad us ki raushni ka dar jaise
kaise kaise hangama ghere rakhte the din raat
lag gai nigahon ko apni hi nazar jaise
ya to aane se pahle ghar ka puchhte ahwal
aa gae to ab kije ho guzar-basar jaise
aise takta rahta hun us gali ke logon ko
le ke aaega koi meri bhi KHabar jaise
muddaton main guzra tha us ke shahar se lekin
sab makan lagte the ab bhi us ke ghar jaise
naqsh-gah-e-hasti mein dekhi apni bhi taswir
ek kaghaz-e-sada aansuon se tar jaise
chahti hai ab wahshat dur tak bayabani
kaTne ko aate hain ghar ke baam-o-dar jaise
mujh se kya sahe jate un ki bazm ke aadab
ashk mangte the wo ashk bhi guhar jaise
main bhi kitna sada hun rahguzar pe baiTha hun
rok lega wo panw mujh ko dekh kar jaise
meri KHwahishen 'anjum' jaise nachti pariyan
mera sara mustaqbil KHwab ka nagar jaise
Ghazal
Dhup ho gae sae jal gae shajar jaise
Anwar Anjum