اردو हिंदी
Dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua | Shaahi Shayari
dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua

Ghazal

Dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua

Zafar Gorakhpuri

;

dhup hai kya aur saya kya hai ab malum hua
ye sab khel tamasha kya hai ab malum hua

hanste phul ka chehra dekhun aur bhar aae aankh
apne sath ye qissa kya hai ab malum hua

hum barson ke baad bhi us ko ab tak bhul na pae
dil se us ka rishta kya hai ab malum hua

sahra sahra pyase bhaTke sari umr jale
baadal ka ek TukDa kya hai ab malum hua