dhup bhi chandni hai saya-e-ashjar se dekh
koi bazar sahi chashm-e-KHaridar se dekh
daere qausen KHat-e-rang bayaz-e-dil par
rose ek aalam-e-nau hai teri raftar se dekh
jagte sote jaziron ke dhundalke mein bala
phir usi tarah mujhe parda-e-inkar se dekh
phir saza-war hai tujh ko mere har aib se pyar
pahle tu mera hunar dida-e-aghyar se dekh
main ki patthar sahi tabir-e-sanam-KHana hun
to mera shoala-e-jaan teshe ki jhankar se dekh
zad mein aate rahe tere shah-o-farzin kya kya
apni jiti hui bazi ko meri haar se dekh
'shaz' suraj bhi tamashai hua aaj ke din
ruKHsat-e-saya-e-diwar hai diwar se dekh
Ghazal
Dhup bhi chandni hai saya-e-ashjar se dekh
Shaz Tamkanat