dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut
milenge chhanw DhunDte barhana-pa KHuda bahut
ye rah be-kanar be-panah KHizr ki fughan
bahut mili thi zindagi magar mili zara bahut
KHizan nasib daur mein bahaar ki tasalliyan
magar wo dil jise hai KHar-o-KHas ka aasra bahut
unhen KHabar karo ki sham-e-hijr aa rahi hai phir
jinhen wafa-e-ahd par ghurur o naz tha bahut
fareb-e-arzu pe aur e'tibar ke liye
uThao jam waqt kam hai waqt ho chuka bahut
Ghazal
Dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut
Niyaz Haidar