dhup aati nahin ruKH apna badal kar dekhen
chaDhte suraj ki taraf hum bhi to chal kar dekhen
baat kuchh hogi yaqinan jo ye hote hain nisar
hum bhi ek roz kisi shama pe jal kar dekhen
sahib-e-jubba-o-dastar se kah de koi
is bulandi pe wo dekhen to sambhal kar dekhen
kya ajab hai ki ye muTThi mein hamari aa jae
aasman ki taraf ek bar uchhal kar dekhen
dagh daman pe kisi ke na koi hath hi tar
kyun na chehre pe lahu apna hi mal kar dekhen
kis tarah samt-e-muKHalif mein safar karte hain hum
bahte dhaare se kabhi aap nikal kar dekhen
KHak mein mil ke fana honge jo moti hain yahan
jab bhi ji chahe ye aankhon se ubal kar dekhen
yak-ba-yak jaan se guzarna to hai aasan 'anjum'
qatra qatra kai qiston mein pighal kar dekhen
Ghazal
Dhup aati nahin ruKH apna badal kar dekhen
Anjum Irfani