اردو हिंदी
DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle | Shaahi Shayari
DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

Ghazal

DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle

Jameel Malik

;

DhunDte phirte hain zaKHmon ka mudawa nikle
is bhare shahr mein koi to masiha nikle

uf ye amboh-e-rawan hae meri tanhai
kahin rasta nazar aae koi tum sa nikle

chand se chehron pe pathrai hui zard aankhen
koi batlao ye kis shahr mein hum aa nikle

pas-e-diwar khaDa hai koi tanha kab se
tu na nikle tere ghar se tera saya nikle

jin pe sau naz kare anjuman-arai bhi
ghaur se dekha to wo log bhi tanha nikle

ye sitaron ke taDapte hue simin paikar
jaane kab raat Dhale nur ka dariya nikle

chand suraj se bhi tariki-e-dauran na gai
dekhiye parda-e-aKHliq se ab kya nikle