DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla
ek parda jo uTha dusra parda nikla
manzar-e-zist sarasar tah-o-baala nikla
ghaur se dekha to har shaKHs tamasha nikla
ek hi rang ka gham-KHana-e-duniya nikla
gham-e-jaanan bhi gham-e-zist ka saya nikla
is rah-e-zist ko hum ajnabi samjhe the magar
jo bhi patthar mila barson ka shanasa nikla
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
ghar se nikle the ki aaina dikhaen sab ko
lekin har aks mein apna hi sarapa nikla
kyun na hum bhi karen us naqsh-e-kaf-e-pa ki talash
shoala-e-tur bhi to ek bahana nikla
ji mein tha baiTh ke kuchh apni kahenge 'sarwar'
tu bhi kam-baKHt zamane ka sataya nikla
Ghazal
DhunDte DhunDte KHud ko main kahan ja nikla
Sarwar Alam Raz