DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
jo yaad na aae bhul ke phir ai ham-nafaso wo KHwab hain hum
main hairat o hasrat ka mara KHamosh khaDa hun sahil par
dariya-e-mohabbat kahta hai aa kuchh bhi nahin payab hain hum
ho jae bakheDa pak kahin pas apne bula len behtar hai
ab dard-e-judai se un ki ai aah bahut betab hain hum
ai shauq bura is wahm ka ho maktub tamam apna na hua
wan chehre pe un ke KHat nikla yan bhule hue alqab hain hum
kis tarah taDapte ji bhar kar yan zoaf ne mushkin kas din hain
ho band aur aatish par ho chaDha simab bhi wo simab hain hum
ai shauq pata kuchh tu hi bata ab tak ye karishma kuchh na khula
hum mein hai dil-e-betab nihan ya aap dil-e-betab hain hum
lakhon hi musafir chalte hain manzil pe pahunchte hain do ek
ai ahl-e-zamana qadr karo nayab na hon kam-yab hain hum
murghan-e-qafas ko phulon ne ai 'shad' ye kahla bheja hai
aa jao jo tum ko aana ho aise mein abhi shadab hain hum
Ghazal
DhunDoge agar mulkon mulkon milne ke nahin nayab hain hum
Shad Azimabadi