DhunDhti phirti hai ab us ko nigah-e-wapsin
us dariche mein ek afsani tabassum tha kahin
sari tashbihat dafna den bayaban mein kahin
tera kya duniya mein koi bhi kisi jaisa nahin
toD kar ek husn har din tujh ko rakkha hai hasin
zindagi kya apne bare mein bhi ab sochen hamein
ab to is sahra ke har goshe pe hota hai guman
gir gaya hai jaise mera aaKHiri sikka yahin
ek tabassum KHud pe thoDa rahm kar lene ko hai
aur agar ye shai bhi mujh se kho gai kal tak kahin
tanz karta hun main logon se ulajh leta bhi hun
mujh se laD lo jab talak gungi hai meri aastin
roz-o-shab ke karb ka radd-e-amal ek KHamushi
zist zalim bap ki majbur beTi to nahin

Ghazal
DhunDhti phirti hai ab usko nigah-e-wapsin
Najeeb Ramish