DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe
aap ne mahfil se uThwa kar kahan rakkha mujhe
ai nigah-e-mast is ka nam hai kaif-e-surur
aaj tu ne dekh kar meri taraf dekha mujhe
yar se ho kar juda jaur-e-falak ka gham nahin
ho chuki wo baat thi jis baat ki parwa mujhe
sath bhi chhoDa to kab jab sab bure din kaT gae
zindagi tu ne kahan aa kar diya dhoka mujhe
Ghazal
DhunDhti hai iztirab-e-shauq ki duniya mujhe
Natiq Gulavthi