DhunDhta hun roz-o-shab kaun se jahan mein hai
ek makan ki raushan sa basti-e-guman mein hai
sust-rau musafir ki qismaton pe kya rona
tez chalne wala bhi dasht-e-be-aman mein hai
KHush bahut na ho sun kar sahilon ka aawaza
ek fasil pani ki aur darmiyan mein hai
lauTne nahin deta ye tilism raston ka
jaanta hun main warna sukh bahut makan mein hai
raaz kuchh nahin khulta is ajab nagar ka yan
sud mein na tha din bhi raat bhi ziyan mein hai
dekhta nahin hai kya sat aasman wala
kaun dhup ke andar kaun saeban mein hai
Ghazal
DhunDhta hun roz-o-shab kaun se jahan mein hai
Ejaz Gul