DhunDhiye is shahr mein ab kis ko hasil kaun hai
aur zara batlaiye kis ke muqabil kaun hai
main ne mizanon se puchha taq par rakh kar zamir
apni in barbaadiyon mein aur shamil kaun hai
KHud hawale kar ke jis ne kashtiyan tufan mein
baadban se ja ke puchha mera sahil kaun hai
ye nasim-o-khaar-o-khas kis ne jalaya aag mein
aabshaaron ne ye socha itna jahil kaun hai
barf ka sina pighal kar ek dariya ho gaya
kaun Thahra tha yahan par itna mail kaun hai
Ghazal
DhunDhiye is shahr mein ab kis ko hasil kaun hai
Urmila Madhav