DhunD saya na shajar aage bhi
tai jo karna hai safar aage bhi
yun hi shamshiron ko lalkarega
rah gaya dhaD pe jo sar aage bhi
dur tak nam nahin sae ka
hain to pichhe bhi shajar aage bhi
kyun sitamgar ko sitamgar bolo
zinda rahna hai agar aage bhi
rokta kaun safar kis dil se
thi muradon ki Dagar aage bhi
daere TuT na pae warna
ja to sakti thi nazar aage bhi
kya KHush-amad se jhaTakna daman
kaam dega ye hunar aage bhi
sau janam le ke jahan pahuncha hun
mujh ko jaana hai magar aage bhi
sher ke rup mein dete rahna
'ehtiram' apni KHabar aage bhi
Ghazal
DhunD saya na shajar aage bhi
Ehteram Islam