DhunD jugnu koi zulmat ko miTane wala
ab to suraj se andhera nahin jaane wala
har kisi ko na dikha apne ghamon ke zewar
kanch ki aankh mein aansu nahin aane wala
mere ahbab mere haal pe rote hain magar
kash hota koi girte ko uThane wala
tere chehre pe jo raunaq hai mere ishq se hai
sirf ghaza se nahin nur ye aane wala
rahnumaon ki har ek baat baja, par kya hai
apne mazi se koi aankh milane wala
in ujalon ke talabgar to sab hain lekin
hai koi KHun charaghon ko pilane wala
teri taswir kabhi tera badal ho na saki
ek kaghaz mein nahin husn samane wala
apne daman mein duaon ke KHazane bhar lo
phir ye darwesh nahin lauT ke aane wala

Ghazal
DhunD jugnu koi zulmat ko miTane wala
Musavvir Firozpuri