dhumen machaen sabza raunden phulon ko pamal karen
josh-e-junun ka ye aalam hai ab kya apna haal karen
dasht-e-jaan mein ek KHushi ki lahr kahan tak dauDegi
wasl ke ek ek lamhe ko hum kyun kar mah o sal karen
jaan se baDh kar dil hai pyara dil se ziyaada jaan aziz
dard-e-mohabbat ka ek tohfa kis kis ko irsal karen
nang-e-karam hai soz-e-alam se ahl-e-dil ki mahrumi
dard-e-ishq mata-e-jaan hai sahib kuchh to KHayal karen
mausam badle phir bhi hai aashob-e-visal-o-hijr wahi
haal zamane ka jab ye ho kya mazi kya haal karen
ruh ki ek ek choT ubhaaren dil ka ek ek zaKHm dikhaen
hum se ho to numayan kya kya apne KHadd-o-KHal karen
qarz bhala kya dega koi bhik bhi milni mushkil hai
nadaron ki is basti mein kis se ja ke sawal karen
har ek dard ko apna jaanen har ek gham ko apnaen
KHwah kisi ki daulat-e-gham ho dil ko malamal karen
be-hunari ko hunar kare ye ahl-e-hunar ka dushman hai
charKH-e-kaj-raftar hai aaKHir 'tabish' hum bhi KHayal karen
Ghazal
DhuMein machaen sabza raunden phulon ko pamal karen
Tabish Dehlvi