dhum thi apni parsai ki
ki bhi aur kis se aashnai ki
kyun baDhate ho iKHtilat bahut
hum ko taqat nahin judai ki
munh kahan tak chhupaoge hum se
tum ko aadat hai KHud-numai ki
lag mein hain lagao ki baaten
sulh mein chheD hai laDai ki
milte ghairon se ho milo lekin
hum se baaten karo safai ki
dil raha pa-e-band-e-ulfat-e-dam
thi abas aarzu rihai ki
dil bhi pahlu mein ho to yan kis se
rakhiye ummid dilrubai ki
shahr o dariya se bagh o sahra se
bu nahin aati aashnai ki
na mila koi ghaarat-e-iman
rah gai sharm parsai ki
baKHt-e-ham-dastani-e-shaida
tu ne aaKHir ko na-rasai ki
sohbat-e-gah-gahi-e-rashki
tu ne bhi hum se bewafai ki
maut ki tarah jis se Darte the
saat aa pahunchi us judai ki
zinda phirne ki hai hawas 'haali'
intiha hai ye be-hayai ki
Ghazal
Dhum thi apni parsai ki
Altaf Hussain Hali