اردو हिंदी
Dhul se rah aTi ho gai manzil madum | Shaahi Shayari
dhul se rah aTi ho gai manzil madum

Ghazal

Dhul se rah aTi ho gai manzil madum

Nazish Kashmiri

;

dhul se rah aTi ho gai manzil madum
kya KHabar kya hai mere azm-e-safar ka maqsum

jism aaluda-e-isyan hai magar ruh meri
kitni pakiza nazar aati hai kitni masum

DhunDh kar lao koi hadisa-e-qalb-o-nazar
shayad aaina ho yun zist ka maKHfi mafhum

tere paikar ki jhalak daulat-e-alam warna
rang aur nur ke is sail ki waqat malum

surat-e-harf-e-ghalat miT gae hum ta ki sada
lauh-e-duniya pe rahe nam tumhaara marqum

jurat-e-jaur-o-sitam kab thi kisi mein 'nazish'
KHud mere hathon rahi hai meri hasti mazlum