dhundla diya zist ka tasawwur
apni aankhon hi ki nami ne
haiwan-sifat hua hai aaKHir
dikhlaya kamal aadmi ne
ki dosti bhi to dushmani se
jaana na unhen magar hamin ne
gaDhe ki to khaal khinch Dali
raat un ke jamal-e-reshmin ne
shoalon se bujhai pyas ji ki
yaron ke mizaj-e-balghamin ne
ye zohra ye mushtari ye mahtab
kya kya na milin nai zaminen
miT kar bhi ghubar-e-kahkashan hain
chamka diya kis ki hamdami ne
jo gul sar-e-arsh bhi na khilte
wo gul bhi khila diye zamin ne
shayad ki talab kiya 'nazar' ko
kabe mein rasul-e-hashmi ne

Ghazal
Dhundla diya zist ka tasawwur
Qayyum Nazar