اردو हिंदी
Dhund mein lipTe hue manzar bahut achchhe lage | Shaahi Shayari
dhund mein lipTe hue manzar bahut achchhe lage

Ghazal

Dhund mein lipTe hue manzar bahut achchhe lage

Ravi Kumar

;

dhund mein lipTe hue manzar bahut achchhe lage
TimTimati raushni mein ghar bahut achchhe lage

zindagi ke raston par rengte logon ke bich
sar uThate bolte kuchh sar bahut achchhe lage

barf-zaron se utarte jhumte dariyaon mein
paniyon ko rokte patthar bahut achchhe lage

aaj bhi baqi hain jin se is nagar ki raunaqen
daeron ke bich wo mehwar bahut achchhe lage

zindagi teri ana ko raund kar aate hue
baadshah-e-waqt ko lashkar bahut achchhe lage

man kar bhi tum ne hum ko umr bhar mana nahin
kya hua hai aaj hum mar kar bahut achchhe lage