dhund mein Dubi sari faza thi us ke baal bhi gile the
jis ki aankhen jhilon jaisi jis ke honT rasile the
jis ko kho kar KHak hue hum aaj use bhi dekha to
hansti aankhen afsurda thin honT bhi nile nile the
jin ko chhu kar kitne 'zaidi' apni jaan ganwa baiThe
mere ahd ki shahnazon ke jism baDe zahrile the
aaKHir aaKHir aisa hua ki tera nam bhi bhul gae
awwal awwal ishq mein jaanan hum kitne joshile the
aankhen bujha ke KHud ko bhula ke aaj 'shanas' main aaya hun
talKH thin lahjon ki barsaten rang bhi kaDwe-kasile the
Ghazal
Dhund mein Dubi sari faza thi uske baal bhi gile the
Faheem Shanas Kazmi