dhund ka aankhon par hoga parda ek din
ho jaenge hum sab be-chehra ek din
jis muTThi mein phul hai us ko band rakho
khil kar ye jugnu ban jaega ek din
aankhen mal mal kar dekhenge KHwab hai kya
aise rang dikhaegi duniya ek din
chand-sitare kahin Duboe jaenge
KHushbu par lag jaega pahra ek din
ho jaenge KHatm KHazane ashkon ke
yun niklega apna diwala ek din
us ke pas uga do koi aur daraKHt
peD ye ho jaega hariyala ek din
Ghazal
Dhund ka aankhon par hoga parda ek din
Ejaz Obaid