dhun nahin koi muddaa kaisa
dil hua dekh be-sada kaisa
meri tausif sal sadiyan sana
mein nahin jab to phir KHuda kaisa
lift khambe tu aur main peD pahaD
waqt wadi mein jam gaya kaisa
dusron ki kahi-suni pe na ja
tu bata tujh se main raha kaisa
shab ki shab sath phir na bol na baat
kya kahun hai wo sanwra kaisa
main tujhi mein nihan tujhi pe ayan
main hun maujud mawara kaisa
rang mein bas ang umang mein pyas
phul hi hai wo phul sa kaisa
samne sach ke karbala-o-damishq
kalima-e-haq pe aur sila kaisa
do alag bans purkh-pat birha
ab tere sang silsila kaisa
kohar kohsar raat tera sath
chand nikla naya naya kaisa
aarzu ek janam maran yakja
mujh mein tujh mein tha rabta kaisa
zulm mansab sabhi ka tu ho ki main
lun yahan haqq-e-KHun-baha kaisa
dhaDke pal chhan sajan salone bin
dil hai be-dard banwara kaisa
Ghazal
Dhun nahin koi muddaa kaisa
Nasir Shahzad