dhuen mein Dube hain phul tare charagh jugnu chinar kaise
nai ruton ke uDan khaTolon pe aa rahe hain sawar kaise
main apne aangan ki zard miTTi pe baiTha pahron ye sochta hun
dabiz shishe ki khiDkiyon mein ugi thi shaKH-e-anar kaise
chalo ye mana ki mere ghar ki ghuTi ghuTi si faza thi lekin
teri munDeron ki Daliyon par bujhi diyon ki qatar kaise
likha hai jughrafiyon mein sab kuchh magar kisi ne na ye bataya
khinchi falak ki qanat kyunkar bana zamin ka mazar kaise
adhure KHake mein rang bhar lun gae dinon ka hisab kar lun
magar jo tere baghair guzre karun wo lamhe shumar kaise
ujaD faslen hanut sae makan Tile sarab galiyan
utar ke pani bana gaya hai zamin pe naqsh-o-nigar kaise
junun ki andhi hawa ne 'athar' KHamosh ghurfon ko lab diye hain
sada bana hai gali gali mein mere lahu ka fishaar kaise
Ghazal
Dhuen mein Dube hain phul tare charagh jugnu chinar kaise
Athar Saleemi