dhuan uDate hue din ko raat karte hue
malang aag se tathir-e-zat karte hue
kaha to tha ye amanat sambhaal kar rakhna
hamari nazr wo kul kaenat karte hue
main ek jang KHud apne KHilaf laDta hua
tamam azw-e-badan mujh se ghat karte hue
ki hum bane hi na the ek dusre ke liye
ab is yaqin ko jina hayat karte hue
har ek qaid se aazad bandishon se pare
hasin log hasin wardat karte hue
agarche kaam tha mushkil magar maza aaya
kashid zahr se aab-e-hayat karte hue
Ghazal
Dhuan uDate hue din ko raat karte hue
Khurshid Talab