اردو हिंदी
Dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujhko | Shaahi Shayari
dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujhko

Ghazal

Dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujhko

Ajeet Singh Hasrat

;

dhuan sifat hun KHalaon ka hai safar mujh ko
uDa rahi hain hawaen idhar udhar mujh ko

main us ki aankh se gir kar wajud kho baiTha
wo DhunDhta hai bhala kyun Dagar Dagar mujh ko

jawan hon hausle jis ke wo mere sath chale
kaDakti dhup mein sahra ka hai safar mujh ko

badan ko chhoD ke teri talash mein nikla
na rok paenge raste mein bahr-o-bar mujh ko

abhi kuchh aur teri justuju rulaegi
abhi kuchh aur bhaTakna hai dar-ba-dar mujh ko

wo shoKH shoKH si panhaariyan kidhar ko gain
udas kar gai panghaT ki rahguzar mujh ko

junun ke adna ishaare pe chaunk jata hun
KHirad ki baat ka hota nahin asar mujh ko

main aasman ki bulandi ko raund aaya hun
zamin walon ne samjha shikasta-par mujh ko

usi ne yaad dilai hai aaj gautam ki
rishi laga hai ye sukha hua shajar mujh ko

miTa rahe hain mujhe mere qari-o-naqid
kisi ne samjha kahan harf-e-mo'tabar mujh ko

main apne waqt ka mansur bhi nahin 'hasrat'
ye log kis liye lae hain dar par mujh ko