اردو हिंदी
Dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar | Shaahi Shayari
dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar

Ghazal

Dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar

Nazeer Akbarabadi

;

dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
wo rashk ye tha ki ghair se Tuk hansa tha chanchal misi laga kar

faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka
karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar

KHiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklin kai adaen
qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uThana to Dagmaga kar

laTak mein bandon ki dil jo aawe to KHair bande hi us ko le len
wagarna aawe to phir na chhoDe idhar se baala jhamak dikha kar

bahaal kya hai jo du-ba-du ho nazar se koi nazar laDawe
magar kisi ne jo us ko dekha to sau KHarabi se chhup-chhupa kar

sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhiDak ke us ko
ye saf kah de tu kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar

'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz
wagar mila to KHuda hai hafiz bache hain hum bhi KHuda KHuda kar