dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
wo rashk ye tha ki ghair se Tuk hansa tha chanchal misi laga kar
faqat jo chitwan pe ghaur kije to wo bhi wo sehr hai ki jis ka
karishma banda ghulam ghamza daghaen naukar fareb chaakar
KHiram ki hai wo tarz yaro ki jis mein niklen kai adaen
qadam jo rakhna to tan ke rakhna jo phir uThana to Dagmaga kar
laTak mein bandon ki dil jo aawe to KHair bande hi us ko le len
wagarna aawe to phir na chhoDe udhar se baala jhamak dikha kar
majal kya hai jo du-badu ho nazar se koi nazar laDawe
magar kisi ne jo us ko dekha to sau KHarabi se chhup chhupa kar
sune kisi ke na dard-e-dil ko wagar sune to jhiDak ke us ko
ye saf kah de to kya bala hai jo sar phiraata hai nahaq aa kar
'nazir' wo but hai dushman-e-jaan na miliyo us se tu dekh hargiz
wagar mila to KHuda hai hafiz bache hain hum bhi KHuda KHuda kar
Ghazal
Dhuan kaleje se mere nikla jala jo dil bas ki rashk kha kar
Nazeer Akbarabadi