dhuan dhuan hain nigahon ki bastiyan kya kya
chamak rahi hain KHayalon ki bijliyan kya kya
bhanwar ki aankh se takte hi rah gae tufan
pahunch gai hain kinaron pe kashtiyan kya kya
milegi meri bhi kisht-e-nazar ko sairabi
har ek samt uchhalti hain naddiyan kya kya
meri nigah ke daman ko khinch leti hain
tere KHayal ki gul-posh wadiyan kya kya
sharab-KHane ke diwar-o-dar damak uTThe
chhalak paDin mere saghar se bijliyan kya kya
suKHan ke shor mein sunta nahin koi lekin
dilon mein gunj rahi hain kahaniyan kya kya
'nadim' shoabada-e-zindagi se aaKHir-kar
lahak rahi hain nigahon mein khetiyan kya kya

Ghazal
Dhuan dhuan hain nigahon ki bastiyan kya kya
Salahuddin Nadeem