dhuan dhuan hai faza raushni bahut kam hai
sabhi se pyar karo zindagi bahut kam hai
maqam jis ka farishton se bhi ziyaada tha
hamari zat mein wo aadmi bahut kam hai
hamare ganw mein patthar bhi roya karte the
yahan to phul mein bhi tazgi bahut kam hai
jahan hai pyas wahan sab gilas KHali hain
jahan nadi hai wahan tishnagi bahut kam hai
ye mausamon ka nagar hai yahan ke logon mein
hawas ziyaada hai aur aashiqi bahut kam hai
tum aasman pe jaana to chand se kahna
jahan pe hum hain wahan chandni bahut kam hai
barat raha hun main lafzon ko iKHtisar ke sath
ziyaada likhna hai aur Diary bahut kam hai

Ghazal
Dhuan dhuan hai faza raushni bahut kam hai
Shakeel Azmi