dhuan bana ke faza mein uDa diya mujh ko
main jal raha tha kisi ne bujha diya mujh ko
taraqqiyon ka fasana suna diya mujh ko
abhi hansa bhi na tha aur rula diya mujh ko
main ek zarra bulandi ko chhune nikla tha
hawa ne tham ke zamin par gira diya mujh ko
safed sang ki chadar lapeT kar mujh par
fasil-e-shahr pe kis ne saja diya mujh ko
khaDa hun aaj bhi roTi ke chaar harf liye
sawal ye hai kitabon ne kya diya mujh ko
na jaane kaun sa jazba tha jis ne KHud hi 'nazir'
meri hi zat ka dushman bana diya mujh ko
Ghazal
Dhuan bana ke faza mein uDa diya mujhko
Nazeer Baaqri