dhoka bhi nahin tha koi unwan bhi nahin tha
aise mein jiye jaane ka imkan bhi nahin tha
kya jaaniye kya soch ke wan Dub gae hum
dariya mein to is dam kahin tufan bhi nahin tha
aabaad sarabon se sada is ka jahan tha
sahra mere dil sa kabhi viran bhi nahin tha
ek baat thi ye hum use sochen ki na sochen
han is ke siwa masala-e-jaan bhi nahin tha
ye jaan ke wo raqs kiya ahl-e-junun ne
jo hath laga un ke gareban bhi nahin tha
har sans nikalti hai teri yaad mein Dubi
aur bhul ke jina tujhe aasan bhi nahin tha
kuchh phul shagufta mere honTon pe saje hain
aaina mujhe dekh ke hairan bhi nahin tha
phulon ke lahu se ye chaman-zar tha raushan
gulshan mein kahin KHar-e-mughilan bhi nahin tha
hai baat baDi jaan meri kaam to aai
wo qatl mujhe kar ke pasheman bhi nahin tha
in mast nigahon ke ishaaron ko samajhna
mushkil bhi nahin tha koi aasan bhi nahin tha
duniya ye bhala kyun mere qadmon mein paDi hai
main is ke liye itna pareshan bhi nahin tha
palkon ko sikha dete rah-o-rasm bhi 'KHalid'
thi hijr ki shab aur charaghan bhi nahin tha

Ghazal
Dhoka bhi nahin tha koi unwan bhi nahin tha
Khalid Fatehpuri