dhuen ki oT se bahar bhi aa gaya hota
hamare sath agar rishta-e-hawa hota
use bhi shoalagi-e-rabt ki shikayat thi
sulagti aankh ki darzon mein aur kya hota
jahan na peD uge the na aag hi barsi
wahan hamare liye kaun sa KHuda hota
main ehtijaj se bahar bhi sochta shayad
shab-e-farar agar koi dar khula hota
taDap nahin na sahi KHair-maqdami ke liye
tera tapak na hota tera gila hota
Ghazal
Dhuen ki oT se bahar bhi aa gaya hota
Wajid Qureshi