اردو हिंदी
Dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha | Shaahi Shayari
dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha

Ghazal

Dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha

Farooq Shafaq

;

dhire dhire sham ka aaankhon mein har manzar bujha
ek diya raushan hua to ek diya andar bujha

wo to raushan qumqumon ke shahr mein mahsur tha
saKHt hairat hai ki aisa aadmi kyun kar bujha

is siyah-KHane mein tujh ko jagna hai raat bhar
in sitaron ko na be-maqsad hatheli par bujha

zehn ki aawargi ko bhi panahen chahiye
yun na shamon ko kisi dahliz par rakh kar bujha

aur bhi ghar the hawa ki zad pe basti mein 'shafaq'
mere hi ghar ka diya tufan mein akasr bujha