dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai
sham batlati hai mujh ko ek ghar mera bhi hai
jis nadi ka tu kinara hai usi ka main bhi hun
tere hisse mein jo hai wo hi bhanwar mera bhi hai
ek pagDanDi chali jangal mein bas ye soch kar
dasht ke us par shayad ek ghar mera bhi hai
phuTte hi ek ankur ne daraKHton se kaha
aasman ek chahiye mujh ko ki sar mera bhi hai
aaj bedari mujhe shab bhar ye samjhati rahi
ek zara sa haq tumhaare KHwabon par mera bhi hai
mere ashkon mein chhupi thi swati ki ek bund bhi
is samundar mein kahin par ek guhar mera bhi hai
shaKH par shab ki lage is chand mein hai dhup jo
wo meri aaankhon ki hai so wo samar mera bhi hai
tu jahan par KHak uDane ja raha hai ai junun
han unhin viraniyon mein ek khanDar mera bhi hai
jaan jate hain pata 'atish' dhuen se sab mera
sochta rahta hun kya koi mafar mera bhi hai
Ghazal
Dhire dhire Dhalte suraj ka safar mera bhi hai
Swapnil Tiwari