dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna
us ka ek jharoke mein phir shaal sukhate rahna
jaane kis ki yaad aati hai sahil sahil ja kar
ret pe zaKHmi poron se ashkal banate rahna
rabt ek shai kaliyon se komal aur hawaen murakh
TuTe us ke tar to kya sur-tal milate rahna
kya jaane kab lamhon ki mafrur samaat lauTe
achchhi achchhi aawazon ke jal bichhate rahna
apni to miras yahi hai raat gawahi degi
din ke aariz sham sawere lal banate rahna
us ne to aate rahna hai sehn mein ram karne ko
roz ghazal-e-dard ke mathe KHal lagate rahna
Ghazal
Dhimi barish ki lai mein ahwal sunate rahna
Sajjad Babar