Dher sari KHushi wo lata hai
mere daman mein bhar ke jata hai
chand KHushbu hawa sitare gul
khil uThe jab wo gungunata hai
kaun sa yar kyun pareshan hai
ek pal mein wo jaan jata hai
zarra zarra chamakne lagta hai
ek nazar wo nazar jo aata hai
us ki aankhon mein puri duniya hai
jo bhi bhula ho rah pata hai
har udasi ka qatl hota hai
jab mera dost muskuraata hai

Ghazal
Dher sari KHushi wo lata hai
Megi Asnani