dharti pe zindagi ke amiT e'timad ko
ji KHush hua hai dekh ke apne kimad ko
KHud miT gaya miTata hua satwat-e-husain
tariKH mat de gai ibn-e-ziyaad ko
ta-umr marna jina rahe sajna ke sang
dil lobhta hai aise hi aashirwad ko
kohna kahaniyan sunen lekin bunen chunen
ashaar ke sawad mein taza mawad ko
saunpe hain main ne jangali chiDiyon ke chahchahe
us madh-makhi ki yaad ko man ki murad ko
qarza utara a-c KHarida mangaya Dish
is sal ketiyon mein lagaya tha khad ko
nara ali ka wird kare sankh ki sada
chimTon ke sath Dhol bajen phunken nad ko
aaKHir hamein bhi paD gaya hijrat se wasta
rakhta hai kaun shahr mein sahra-nazhad ko
ban-bas ki asas bhare ruh ke bhanwar
maula laga suhag meri soch-sadh ko
Ghazal
Dharti pe zindagi ke amiT etimad ko
Nasir Shahzad