dharti par sab dard ke mare kis ke hain
aasman par chand sitare kis ke hain
sunte hain wo shaKHs to ghar hi badal gaya
phir ye dil-awez ishaare kis ke hain
kis sahra ki dhul hai sab ki aankhon mein
be-mauj o be-rud kinare kis ke hain
ab kya sochna aisi-waisi baaton pe
un hathon ne baal sanware kis ke hain
kaun hai is rim-jhim ke pichhe chhupa hua
ye aansu sare ke sare kis ke hain
kisi pahaD ki choTi par chaDh kar dekho
aankhon se ojhal nazzare kis ke hain
Ghazal
Dharti par sab dard ke mare kis ke hain
Jamal Ehsani