dharti mein bhi reng rahi hai KHun ki ek shiryan
patthar ki rag rag mein machla ashkon ka tufan
chiKH hawa ki dene lagi hai ek lughat tartib
phulon ka mauzu-e-suKHan hai shoalon ki pahchan
dariya dariya tufanon ne git kiye compos
sahra sahra dhul ke baadal banT gae gul-dan
sham ki ajrak DhunDh ke lae dhup nahae peD
sham ki lali oDh ke aaya ambar sa mehman
teri KHatir hi ai mere bhuk ke mare bhai
peT pe patthar bandh ke roya do jag ka sultan
shah-'nasir' karega apni aankhen kal nilam
basti basti nagri nagri kar do ye elan
Ghazal
Dharti mein bhi reng rahi hai KHun ki ek shiryan
Sayed Naseer Shah