Dhang jine ka na marne ki ada mangi thi
hum ne to jurm-e-mohabbat ki saza mangi thi
kya KHabar thi ki andheron ko bhi sharma denge
jin ujalon ke liye hum ne dua mangi thi
ishq mein raaz-e-baqa kya hai KHabar thi hum ko
hum ne kuchh soch samajh kar hi fana mangi thi
mangne walon mein shamil to the hum bhi lekin
hum ne us dar pe faqat tarz-e-nawa mangi thi
ban gai husn-e-talab bhi to muamma ai 'dil'
dard manga tha wo samjhe ki dawa mangi thi
Ghazal
Dhang jine ka na marne ki ada mangi thi
Dil Ayubi