dhanak se phul se barg-e-hina se kuchh nahin hota
badan sahra hue aab-o-hawa se kuchh nahin hota
bahut kuchh dosto bismil ke chup rahne se hota hai
faqat us KHanjar-e-dast-e-jafa se kuchh nahin hota
agar wusat na dije wahshat-e-jaan ke ilaqe ko
to phir aazadi-e-zanjir-e-pa se kuchh nahin hota
koi konpal nahin is ret ki tah mein to kya nikle
yahan ai sada-dil kali ghaTa se kuchh nahin hota
azal se kuchh KHarabi hai kamanon ki samaat mein
parindo shoKHi-e-saut-o-sada se kuchh nahin hota
chalo ab aasman se aur koi rabta sochen
bahut din ho gae harf-e-dua se kuchh nahin hota
Ghazal
Dhanak se phul se barg-e-hina se kuchh nahin hota
Irfan Siddiqi