اردو हिंदी
Dhanak mein sar the teri shaal ke churae hue | Shaahi Shayari
dhanak mein sar the teri shaal ke churae hue

Ghazal

Dhanak mein sar the teri shaal ke churae hue

Afzal Naved

;

dhanak mein sar the teri shaal ke churae hue
main surmai tha sar-e-sham gungunae hue

samay ki lahar tere bazuon mein le aai
hawa mein bahr teri sans mein samae hue

tamaniyat se uThana muhaal tha mashal
main dekhne laga tha us ko sar jhukae hue

sahar ki gunj se aawaza-e-jamal hua
so jagta raha atraf ko jagae hue

tha bagh bagh shua-e-safed se shab bhar
gulab-e-abyaz-e-ruKH tha jhalak dikhae hue

KHumar-e-qurmuzi se aatishin tha saghar-e-KHwab
bhara tha munh tere jamun se baada lae hue

anar phuTte the nind ke samundar mein
wo dekhta tha mujhe phuljhaDi lagae hue

dikha raha tha mere paniyon se shahr-e-visal
koi charagh sa andar tha jhilmilae hue

hawa ke jhonkon mein ja kar use main pi aaya
raha wo der talak jam-e-mai banae hue

ye teri meri judai ka naqsh hai baadal
baras raha hai ba-yak-waqt wan bhi chhae hue

mutabaqat se raha taba ke alaw ko
kahin jalae hue aur kahin bujhae hue

hinai hath se lag kar saji kuchh aur 'nawed'
meri anguThi tha arse se wo gumae hue