اردو हिंदी
Dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha | Shaahi Shayari
dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

Ghazal

Dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha

Mirza Ghalib

;

dhamki mein mar gaya jo na bab-e-nabard tha
ishq-e-nabard-pesha talabgar-e-mard tha

tha zindagi mein marg ka khaTka laga hua
uDne se pesh-tar bhi mera rang zard tha

talif nusKHa-ha-e-wafa kar raha tha main
majmua-e-KHayal abhi fard fard tha

dil ta jigar ki sahil-e-dariya-e-KHun hai ab
is rahguzar mein jalwa-e-gul aage gard tha

jati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
dil bhi agar gaya to wahi dil ka dard tha

ahbab chaarasazi-e-wahshat na kar sake
zindan mein bhi KHayal bayaban-naward tha

ye lash-e-be-kafan 'asad'-e-KHasta-jaan ki hai
haq maghfirat kare ajab aazad mard tha