اردو हिंदी
Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai | Shaahi Shayari
Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai

Ghazal

Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai

Irshad Husain Kazmi

;

Dhalwan par gulab tarai mein ghas hai
is KHitta-e-chaman ko mere KHun ki pyas hai

mausam ki aandhiyon mein bikhar jae TuT kar
is kargah-e-shisha-gari ko ye ras hai

main jaanta hun sharm se bojhal nigah ko
ye nangi KHwahishon ka purana libas hai

jo bujh chuka us ek sitare ki raushni
ab bhi sawad-e-shahr-e-dil-o-jaan ke pas hai

hai yaad aaj bhi unhi honTon ka zaiqa
hathon mein ab bhi us ke pasine ki bas hai

diwar par lagi hui taswir dekhna
mazi ki dastan ka ye iqtibas hai

ThiThuri hui hai ruh chamakta hai aaftab
donon ke darmiyan fasil-e-hawas hai

qasr-e-suKHan mein kholiye lafzon ki khiDkiyan
is daur mein bas ek yahi rah-e-nikas hai

'irshad' sari kawishen bekar mahz hain
sarma ki raat se tujhe hiddat ki aas hai