اردو हिंदी
Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai | Shaahi Shayari
Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai

Ghazal

Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai

Shabnam Rumani

;

Dhalta suraj aankh ka reza ho jata hai
jhuTe KHwabon ka aameza ho jata hai

apne fiqron se hoshyar ki fiqara akasr
dushman ke hathon ka neza ho jata hai

pahle shisha TuT ke KHanjar ban jata tha
lekin ab to reza reza ho jata hai

husn ki sangat phul ki rangat se mas ho kar
shabnam ka aansu aaweza ho jata hai